Helium 10 Overview In Urdu With Lailama Hasan - اردو
-
Explore the Helium 10 Platform in Urdu with Lailama Hasan for a Comprehensive Understanding
- Lailama Kon Hain?
- Helium 10 Kya Hai? Jaaniye Lailama ke Alfaz Mein
- Helium 10 Product Research
- Helium 10 Keyword Research
- Helium 10 Marketing
- Helium 10 Listing Optimization
- Helium 10 Learning
- Helium 10 Analytics
- Helium 10 Operations
- Helium 10 Price Plans
- Conclusion
Disclosure: Hi! It's Vova :) Some of the links in this article may be affiliate links. I get a commission if you purchase after clicking on the link, this does not cost you more money, and many times I can even get a nice discount for you. This helps me keep the content free forever. For you. Thank you! :)
Explore the Helium 10 Platform in Urdu with Lailama Hasan for a Comprehensive Understanding
Assalam-o-Alaikum, dosto!
Mein hoon Vova Even, aur aaj lekar aaya hoon ek khaas overview, jahan ham Helium 10 ke bare mein baat karenge - aur woh bhi Urdu zuban mein!
Ji haan, aapne bilkul sahi parha!
Kuch arsa pehle maine Lailama Hasan ko Helium 10 ki taraf se bulaya taaki woh mere channel ke zariye aap sabko is tool ke istemal ke baray mein guide kar sake.
Toh aaj ka article aap sabke naam hai!
Main ne jo kuch Lailama ke sath video mein discuss kiya aur jo kuch unhone explain kiya, main woh sab is article mein explain karunga.
Lekin agar aap khud dekhna chahte hain tau ye rahi video:
Aur is se pehle ke hum aage barhein, main aap ko apne bare mein batana chahta hoon.
Main ek Amazon FBA seller hoon aur 7 saal se is industry se wabasata hoon.
Is ke ilawa mein apnay YouTube aur Udemy channels par Amazon FBA se related content bhi banata hun jin mein mukhtalif tips, tricks aur tutorials share karta hoon.
Main samajhta hoon ke har koi video se seekhna pasand nahi karta.
Kuch log khamoshi mein parhke bhi seekhna pasand karte hain.
Agar aap bhi un mein se hain, toh maine ye Amazon FBA website aap sb ke liay hi banai hai, jahan main apni videos ke content ko likh ke share karta hoon.
Ab tak maine koi video ya article Urdu zuban mein nahi tayar kiya.
Lekin, kyun ki mujhe bohat se Urdu-speaking log bhi follow karte hain aur mere content ke sath kaafi engaged rehte hain, is pyaar ne mujhe ye mauka diya hai ke maine Lailama ko apne channel par bulaya, taki aap sab ke liye Urdu mein ye video banaye.
Yeh aap sab ke liye maine khaas Urdu mein likha hai.
Parhne aur appreciate karne ke liye bohot shukriya!
Ab bina kisi aur intezaar ke, chaliye parhte hain Lailama ne Helium 10 ke bare mein kya bataya.
Main aap ko screenshots ke sath sab kuch samjhane ki koshish karunga, taaki aap aasani se relate kar sakein.
Bas aap enjoy karen aur seekhen, kyunki yeh overview aap ko Amazon FBA mein bohot madadgar sabit ho ga.
Lailama Kon Hain?
Lailama Hasan Helium 10 mein Brand Evangelist hain.
Aap ki malumat ke liye batana chahun ga ke brand evangelists woh log hote hain jo kisi brand ya company ko apne personal networks mein actively promote karte hain.
Helium 10 Kya Hai? Jaaniye Lailama ke Alfaz Mein
Chaliye ab Helium 10 ke dashboard par jate hain.
Jaisay hi aap "Tools" par click karenge, aap ko ye menu dikhega.
Is screenshot mein, jaisa aap dekh sakte hain, Helium 10 ke tamam tools dikh rahe hain.
Yeh kul 27 tools hain jinhein 7 categories mein divide kiya gaya hai.
In categories mein Product Research, Keyword Research, Marketing, Listing Optimization, Learning, Analytics, or Operations shamil hain.
Aap in saare tools ko apne Amazon business ke rozana ke kam mein istemal kar sakte hain.
Main aap ko har category ke tools ke baare mein bataungi.
Chaliye Product Research se start karte hain.
Helium 10 Product Research
Product Research mein pehla tool "Black Box" hai.
Black Box ek powerful tool hai jis mein kafi sare filters shamil hain.
Aap isme apne keywords enter karte hain aur in filters ki madad se woh products dhoondhte hain jo sabse zyada munafa bakhsh hoti hain.
Pehli baar sunein, toh lagta hai ki aise kaise mumkin hai, lekin ye bilkul sahi hai.
Black Box, sirf kuch seconds mein aap ko result deta hai, aur aap ko kisi bhi niche mein behtareen opportunities mil jaati hain.
Black Box ke baad "Trendster" tool aata hai.
Jaise iska naam se zahir hai, yeh tool aap ko ye bataata hai ki market mein kya trend hai, log aaj kal kya search kar rahe hain, aur konsi cheez kitni mashhoor hai.
Trendster aap ko Google aur Amazon ke trends dikhaata hai, jis se aap sahi direction mein apne research ko guide kar sakte hain.
Trendster ke baad aakhiri tool "My List - Products" hai.
Isme aap woh products save kar sakte hain jo aap ko munafa bakhsh lagte hain.
Yeh tool aap ko un products ke baare mein mukhtalif tarah ka data bhi deta hai, jaise ke sales, revenue, price, aur dusre important metrics.
Helium 10 Keyword Research
Keyword Research mein pehla tool "Cerebro" hai.
Yeh aik reverse product lookup tool hai, jiska matlab samajhne ke liye aap ko ASIN ke bare mein janana hoga.
ASIN, ya Amazon Standard Identification Number, ek unique code hai jo har ek Amazon product ko alag pehchaan dene ke liye istemal hota hai.
Yeh bilkul aap ke CNIC number jaisa hai.
ASIN, aksar 10-digit code hota hai aur aap ko kisi bhi product page par Product Details section mein aasani se mil jata hai.
To agar aap ko koi product milti hai jo munafa bakhsh lagti hai, direct decision lene se pehle zaruri hai ki aap us ko detail mein dekhein.
Puchna chaein ge kyun?
Kyunki har chamakti cheez sona nahi hoti…
Mumkin hai jo product aap ko achi lag rahi ho wo hamesha sahi se na bikti ho.
Ya mumkin hai ke usay baichna hi asaan na ho.
Tau kisi bhi product ko detail mein dekhne ke liye aap ko ye karna hoga ki uska ASIN copy karna hai aur Cerebro mein paste karna hai.
Aap Cerebro mein aik sath 20 ASINs daal sakte hain.
Aur Cerebro sirf is ek number se aap ko us product ki sales history, revenue, Best Seller Rank, FBA fees, price, waghaira sab bata deta hai.
Kyunki ye sirf ek number se itni sari details aap ko bata sakta hai, isi liye ise reverse product lookup tool kehte hain.
Cerebro ke baad aata hai "Magnet2." Magnet2 aik unique tool hai jis mein aap kisi bhi keyword ke baaray mein bohat saari malumat hasil kar sakte hain.
Toh aap ne sirf ek keyword enter krna hai or Magnet2 aap ko kuch seconds mein us keyword or us se miltay jultay tamam keywords ki Amazon performance dikha de ga.
Kon sa keyword guzishta arsay mein kaisay perform krta aya hai, kis keyword ke against kitni products market mein maujood hain, kis keyword par kitni products sponsored hain, aur bhi bohot si details.
Magnet2 istemal karne ke liye zaruri nahi hai ki aap ke paas koi proper keyword pehle se mojood ho.
Maan lijiye aap ko koi market ya niche pasand hai jisme aap bechne ka irada rakhte hain.
Aapko sirf uska main naam Magnet2 mein search karna hai, maslan "knife," aur Magnet2 aik asli magnet ki tarah us keyword ke saath milte julte tamam keywords ko aap ke samne har detail ke saath pesh kar dega.
Is ke baad agla Keyword Research tool hai "Misspellinator."
Is ke naam se aap ko kuch had tak idea hoga ke ye ghalat spellings se mutalliq hai.
Toh baat kuch yun hai ki Amazon ek bohot bara platform hai jahan har second kai hazaar searches hoti hain.
Kai martaba log jald baazi mein spellings galat likh dete hain, jaise ki "knife" ki jagah "naif" ya "nife."
Toh aksar toh Amazon in ghalatiyon ko khud theek kar deta hai, lekin kabhi kabhi ye theek nahi hoti, aur in mein se jo ghaltiyan baar baar hoti hain, woh keywords ban jaati hain.
In keywords ko apni product listing mein istemal kar ke aap apni sales ko barha sakte hain.
Misspellinator aap ko kisi bhi keyword ke misspellings dikhata hai.
Aap in keywords ko apni listing ke back-end mein istemal kr sakte hain aur is terha Amazon in keywords ke liay aap ki product ko index kar de ga.
Is ka matlab hai ke jab bhi koi is mispelled keyword ko search karay ga, aap ki product search results mein show ho gi.
Keyword Research ka last tool "My List - Keywords hai" jis mein aap apnay pasandeedah keywords or phrases save kar sakte hain.
Yeh tool My List - Products hi ki tarha hai lekin is mein products ki bajae keywords se related data dikhe ga.
Helium 10 Marketing
Agla section hai "Marketing."
Is mein humare paas pehla tool "Adtomic" hai, jo ek PPC tool hai.
Yeh tool aap ko Amazon par ads lagane mein madad deta hai, jis se aap apni product ki mashhoori kar sakte hain.
Aap is tool ke zariye ads laga sakte hain aur unhe manage bhi kar sakte hain.
For example, agar koi ad sahi perform nahi kar rahi, to aap uspe action le sakte hain – ya to use band kar sakte hain ya phir use behtar banane ke liye optimize kar sakte hain.
Marketing mein doosra aur aakhri tool "Portals" hai.
Yeh tool aap ke liye kaafi madadgaar sabit ho sakta hai.
Agar aap Amazon par kuch products bech rahe hain, to aap is tool ko use kar ke Amazon par ek website-style page bana sakte hain, jisme aap ke saare products ki details dikhai dein gi.
Portals tool Is zariye aap product inserts bhi design kar sakte hain.
Helium 10 Listing Optimization
Next section hai "Listing Optimization," jo mera pasandeedah section hai.
Is section mein pehla tool hai "Frankenstein."
Yeh ek keyword processor hai, jo hazaron keywords ko sirf chand seconds mein ek manageable shakal mein le aata hai.
Frankenstein ke baad aata hai "Scribbles," ek Listing Optimizer tool, jisay jald "Helium 10 Listing Builder" tool replace kar lega.
Listing Builder ek holistic dashboard hai, jahan aap bahut asaani se apne keywords import kar sakte hain aur apni listing ke liye mukammal optimized content likh sakte hain.
Toh Scribbles ko abhi skip karte hain aur chalte hain agle tool ki taraf, "Index Checker."
Yeh tool is liye istemal hota hai taki check kiya ja sake ke aapne apni product listing mein jo keywords istemal kiye hain, kya aapki product in keywords ke search hone par Amazon ke search results mein dikhai deti hai ya nahi.
Isay product index check karna kehte hain.
Uske baad agla tool hai "Listing Analyzer."
Is tool ke zariye aap apni aur apne competitors ki products ko check kar sakte hain.
Mukhtalif listings ko asani se compare kar ke aap apni listing ko behtar bana sakte hain.
Next tool "Listing Builder" hai, jiske baare mein maine kaafi kuch bata diya hai.
Is tool ke zariye aap Amazon rules ke mutabiq apni listing ka front-end aur back-end content likh sakte hain.
Is tool ke sath aap apni listing copy ko seedhe Amazon ke sath sync bhi kar sakte hain.
Yaani agar aap koi change Listing Builder mein karte hain, woh change khud ba khud Amazon product page par update ho jata hai.
Listing Optimization ka last tool "Audience" hai.
Yeh ek market feedback tool hai, jo aap ko Amazon sellers aur buyers ki feedback deta hai.
Aap is tool ke zariye apne content ke kisi bhi hisse ki mukhtalif variations par logon ki raye le sakte hain.
Yeh tool aap ko ye bhi batata hai ke logon ne kon si variation kyun choose ki aur kul kitne logo ne feedback di.
Helium 10 Learning
Agla section "Learning" hai, jis mein Helium 10 aap ko bohat kuch seekhne ke wasail deta hai.
Is mein pehla option "Freedom Ticket" hai, jo ek Amazon FBA selling course hai.
Yeh course aap ko A to Z sab kuch sikhata hai, ke aap Amazon par kaise bech sakte hain.
Is mein keyword find karne se lekar business chalane tak ki har malumat di jati hai, or ye sari information industry experts dete hain.
Freedom Ticket ke baad aata hai "Pro Training."
Is module mein infiradi videos hain jo aap ko Helium 10 behtar tarike se istemal karne ka tarika seekhne mein madad deti hain.
Or last option "Academy" hai.
Yeh aik detailed training course hai jis ki madad se aap Helium 10 ke tamam tools se zyada se zyada faida utha saktay hain.
Helium 10 Analytics
Chaliye aage badhte hain.
Agla section "Analytics" hai jis mein pehla tool hai "Keyword Tracker."
Is tool ke zariye aap apne aur apne competitors ke product keywords ko track kar sakte hain.
Yehi nahi, aap apni aur competitors ki ranking position bhi monitor kar sakte hain.
Rank tracking ka matlab hai ki aap ye dekh sakein ki aapki product kisi keyword ke liye Amazon search results mein kahan dikhai deti hai.
Agar aap ke competitors ki products aapki product se pehle appear ho rahi hain, toh aap ko apni listing improve karne ki zarurat hai, aur is mein Listing Builder tool madadgar sabit ho sakta hai.
Uske baad ka tool hai "Market Tracker" jo aap ko dikhata hai ki aap jo niche ya market mein sale kar rahe hain, usmein aapka kitna bada share hai, uski dollar value kya hai, aur aap ke keywords ka estimated search volume kya hai.
Market Tracker is sense mein bahut helpful hai kyunki aap apni product ki profitability check kar sakte hain aur is ke mutabiq sahi faisla kar sakte hain.
Iske baad ka tool hai "Profits," jo aap ko apne finances analyze karne mein madad karta hai.
Yeh tool aap ko aap ke business ka paison ke lehaz se jaiza deta hai.
Yaani ki aap kitna kharch kar rahe hain, product aur paise ki wapsi kitni hai, aur aap ke profit margins kya hain.
Helium 10 Operations
Humara aakhri section "Operations" hai, jis mein pehla tool "Alta by Helium 10" hai.
Yeh ek financial solution hai, jo aap ko paiso ke maamlaat handle karne ke liye mukhtalif options deta hai.
Alta by Helium 10 aapki zaruraton ko dekhte hue mukhtalif tajaweezat pesh karta hai, jinhein aap waqt par istemal kar ke apne financial matters ko asaan taur par manage kar sakte hain.
Is mein mukhtalif options shamil hain jaisa ke foreign currency mein suppliers ko pay karne ka tareeqa ya credit line ki zarurat.
Agla tool "Alerts" hai, jo ek product tracking or hijacking tool hai - ek bohot madadgar tool.
Agar koi bhi aapki product ko nuqsaan pahunchane ya kisi qisam ki mashkook harkat karne ki koshish kar raha ho, to Alerts aap ko fori notification deta hai.
Alerts ke sath aap be fikri se so sakte hain, kyunki ye 24/7 aap ki product security ka khayaal rakhta hai.
Dusri taraf, hamare paas "Inventory Protector" hai, jo un sellers ke liye hai jo apni kisi bhi product par kisi bhi tarah ki promotion ya discount offer dete hain.
Inventory Protector ye ensure karta hai ke koi bhi aapki offers ka najaiz faida uthane ka koshish na kare.
Agay aata hai "Refund Genie."
Yeh tool sach mein aik jadui tool hai jo aap ko Amazon se apne paisay wapis lene mein madadgar sabit hota hai.
Agar kabhi aap ki koi cheez gum ho jaaye ya usme kisi tarah ka nuqsaan ho, to Amazon us nuqsaan ko pura karne ka zimmedar hota hai.
Lekin ye zimmedari mukhtasir waqt ke liye hoti hai, aur har baar ye amal itna asaan nahi hota.
Kabhi kabhi to pata hi nahi chalta ke Amazon kisi cheez ke liye aap ko payable hai bhi ya nahi.
Aisi situations mein Refund Genie bohot madad karta hai.
Aap is tool se reports le kar unki bunyad par Amazon se apne paisay wapas hasil kar sakte hain.
Iske baad aata hai "Follow-Up" tool, jo aap ko apne customers ko orders karne ke baad automatic emails bhejne mein madad karta hai.
Aur aakhiri tool hai "Inventory Management," jo aap ko future orders ke liye forecast deta hai, aap ke suppliers se orders lena aur inventory track karne mein bhi madad karta hai.
Is ke zariye aap FBA or non-FBA inventory bhi track kar sakte hain.
Helium 10 Price Plans
Chaliye, ab hum Helium 10 ke plans ki taraf badhte hain.
Helium 10 ke plans ko explore karne ke liye, aap ko Helium 10 ki website ke menu mein ja kar Helium 10 Pricing section pe click karna hoga.
Yahan aap ko Helium 10 ke char mukhtalif plans milenge.
Pehla plan "Starter" hai, jiska salana bill $29/month hai.
Uske baad aata hai Helium 10 ka mashhoor "Platinum" plan, jiska salana bill $79/month hai.
Akhir mein, hamara aakhri plan hai "Diamond," jiska salana bill $229/month hai.
Helium 10 ka sabse premium plan "Supercharge Your Brand" hai.
Is plan ki membership ke liay aap ko Helium 10 Support se raabta krna ho ga.
Agar aap janana chahte hain ke har plan mein kya kya features hain, to aap in plans ke drop-down menus mein click kar ke details dekh sakte hain.
Har menu aap ko ye batayega ke kitne log ek tool ko kitni der tak istemal kar sakte hain aur kaun kaun se tools kis plan mein shamil hain.
Agr aap Vova ke followers hain toh aap Vova ka discount code bhi istemal kar sakte hain.
Vova Helium 10 subscription ke liye do discount codes offer kar rahe hain.
Pehla code hai "VOVA6M20" jis se aap six months tak Starter ke ilawa har plan pe 20% ki bachat kar sakte hain.
Dusra code hai "VOVA10" jo aap ko zindagi bhar ke liye Starter plan ke ilawa har Helium 10 plan par 10% ki bachat deta hai.
In codes mein se jo aap ko pasand aaye, usay istemal karne ke liye yahan click karein: https://bit.ly/FreeHelium10Account.
Ab aap apne pasandeeda code ko niche dikhae gaye box mein likhein aur "Apply" pe click karein.
Boom!
Jaise aap dekh sakte hain, code apply ho gaya hai aur aapki qeematein kam ho gayi hain.
Conclusion
Is ke sath hi aaj ka article hota hai tamam.
Umeed hai ke aap ko aaj ka session pasand aaya hoga aur ye aap ke liye kaafi mufeed sabit hoga.
Hamari dua hai ke aap Amazon par apne products ko behtar taur par bech sakein aur khoob profit kamayein.
Article padhne ke liye bahut shukriya.
Best of luck aur Allah Hafiz!
-
Explore the Helium 10 Platform in Urdu with Lailama Hasan for a Comprehensive Understanding
- Lailama Kon Hain?
- Helium 10 Kya Hai? Jaaniye Lailama ke Alfaz Mein
- Helium 10 Product Research
- Helium 10 Keyword Research
- Helium 10 Marketing
- Helium 10 Listing Optimization
- Helium 10 Learning
- Helium 10 Analytics
- Helium 10 Operations
- Helium 10 Price Plans
- Conclusion
Disclosure: Hi! It's Vova :) Some of the links in this article may be affiliate links. I get a commission if you purchase after clicking on the link, this does not cost you more money, and many times I can even get a nice discount for you. This helps me keep the content free forever. For you. Thank you! :)